×
Corrigir

Baharon Ko Chaman Yaad Aa Gaya Hai

Ghulam Ali

bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai
mujhe wo gulabadan yaad aa gaya hai
lachakati shaak ne jab sar uthaaya
kisi ka baankapan yaad aa gaya hai
teri suurat ko jab dekha hai mainne
uruuch-e-fiqr-o-fan yaad aa gaya hai
meri kaamoshi pe hansane waalo
mujhe wo kam-sukhan yaad aa gaya hai
mile wo ajanabi ban kar to ' rafat'
zamaane ka chalan yaad aa gaya hai






Mais tocadas

Ouvir Ghulam Ali Ouvir