×
Corrigir

Kya Hua Tera Waada

Mohammed Rafi

Kya hua tera waada woh kasam woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe, voh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada woh kasam woh iraada

Yaad hai mujhko tune kaha tha, tumse nahin roothengey kabhi
Dil ki tarah se haat mile hain, kaise bhala chootengey kabhi
Teri baahon mein beeti har shaam, bewafa yeh bhi kya yaad nahin

Kya hua tera waada..............

O kehne waale mujhko farebi, kaun farebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ke khatir, yah jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya, ke tujhe kuch bhi yaad nahin

Kya hua tera waada............

Composição: Rahul Dev Burman





Mais tocadas

Ouvir Mohammed Rafi Ouvir